Teri hi baatein hoye
Phir zyada ku tu roye
Pehle jaisi mein nahi to
Kra hoga kuch to tune
Tujhse to maine pyaar kia
Pr tune na ye smjha
Har waqt kra krte the mere sir pr tum danda
Jaise krri hongi kitno se maine baatein
Tere alawa jaise kitne honge
Kitno k sath kri hongi kali raatein
Kbhi na smjha bs akad me rhta tha ye banda
Tujhe kitna smjhaya maine
Pyaar se bhi bulaya maine
Roti rahi raat bhar roti rahi
Din me bhi kaise aansu chupaya krti thi
Koi dekh na le mere ghar me isliye jhootha muskuraya krt thi
Dil kitna roya tune kabhi na ye smjha
Din pr din kaise itni ghutan me kaise mein rahi
Kbhi na tujhe ye aya smjh
Ab aya h mere pass mujhse ye kehne k kaise badal gyi tu achanak... Kaise badal gyi tu achanak...
Na krti tujhe mein pyaar to itna ghutti nahi
Na smjhti teri har baat to manti nhi
Na hota vishwas to tujh pr yu marti nahi
Or hona hota tujhse door to khone se tujhe mein darti nahi
Mera pyaar tune tola har bar mujhe bola
Kitna kuch suna h maine jo kbhi kia hi nhi
Marti rahi tujhpe marti rahi pr dikha nhi tujhe to tujhse to mein darti rahi... Tujhse to mein darti rahi
Kitna chahti thi mein kitna maanti thi mein
Tere liye duniya jahan ko laat marti thi mein
Sb kuch chorda tere liye
Har step pr dia tujhe test hua na phir bhi kbhi tujhe mujh pr trust
Kb tk kru or kitna kru ab nahi rahi waisi jaisi rehti thi mein
Ab thak gyi hu khud ko smjhate hue khud ko khtm kr chuki hu mein....
Ab kaha se lau wo pyaar wo mohabbat jo krti thi mein
Tujhpe kitna marti thi mein
Ab darti hu khi kho na du ye rishta bhi jisko bachane k liye itna toda maine sb kuch... Ha sb kuch kyu toda maine sb kuch....??
Tu aaj bhi h ladta mujhse kash ab bhi smjha hota tune
Kyu nhi rahi mein waisi kyu feelings nhi kyu dard ab nahi
Kyu dar chala gaya kyu mar si gyi ha mein mar si gyi.....
Jo mar jate wo laut kr phir na ate
Ab kaise lau us laash ko jo dafan ho gyi teri baaton me
Ab kaise maaf kru jb mar gyi wo jisko chahta tha tu
Ab kaise kru jo ab chahta h tu...
Bacha h sirf ab gussa mera
Ye chahta bhi tujhe pr manta nahi tujhko
Ye marta to h pr darta nahi
Ye kho chuka khud ko ab khone se or kuch darta nahi...
Mauka to dia h tujhe pr wo ehsaas nahi isme jiski talaash h tujhe....
Ye pyar to krta h
Pr kb tk ye mein janti nahi....
Mein aaj nahi badli ye zakhm h itne saalo k jinka tujhe ehsaas nahi
Ehsaas ho k bhi tu udaas nahi
Udaas ho k bhi tu ab bhi wo hai hi nahi jise dekh kr mein ye keh sku k mere saalo ki mehnat mere saalo ki tapasya ab khtm si hui
Or mila mujhe aaj mera akss us shaks me jiske sath thi mein itne saalo se bandhi.... (Kaash mein ye keh paati..... Kaash)
(Ye shikayatein nahi meri aaj ki.... Ye un saalo ki h jinke bare me maine kbhi kuch nahi kaha.... Jo dard tune diya h unki maafi nhi mere pass bs dar h phirse chot phunchne ka isliye vishwas nahi ab....)